nikalo koi to surat ki tirgi kam ho
hamara ghar hi jala do jo raushni kam ho
hamare ahd ko ras aa gai wo baad-e-sumum
ki jis mein maut ziyaada ho zindagi kam ho
zamane kaise tujhe apni rah par lae
hum ahl-e-ishq ki kaise ye bebasi kam ho
kisi tarah to numaish ka ye nasha utre
kisi tarah to dikhawe ki zindagi kam ho
ye kya hamesha wafa-o-KHulus ki baaten
kuchh aisi baat karo jo kahi suni kam ho
koi jatan to karo dosto bulao use
meri nigah ki us ki ye pyas hi kam ho
tumhaara mera ye rishta ajib hai ki jahan
na dosti hi ghaTe aur na dushmani kam ho
Ghazal
Nikalo koi to surat ki tirgi kam ho
Rohit Soni u0027Tabishu0027