nikal laya hai ghar se KHayal ka kya ho
laga hai zaKHm to ab indimal ka kya ho
le aae kucha-e-dilbar se dil ko samjha kar
hai be-qarar bahut dekh-bhaal ka kya ho
luTa ke mazi nazar is sadi pe rakkhi hai
pe naqsha dekhiye tahsil haal ka kya ho
abhi zamana-e-maujud ki giraft mein hun
main sochta hun ki fikr-e-maal ka kya ho
tha bab-e-shauq ki auraq-e-shab pe likhte rahe
uDa ke le gai shab to malal ka kya ho
KHayal-e-KHam ko duniya apaj samajhti hai
hamari dida-wari ke kamal ka kya ho
nigar-e-zist ko awwal bahut hasin paya
ulajh gaya hun to ab is wabaal ka kya ho
jo asl majra tha barmala kaha main ne
phir us ke baad tere ehtimal ka kya ho
KHayal rahta hai 'shahid' wo tursh-ru hai bahut
wahan jo jaun to waz-e-sawal ka kya ho
Ghazal
Nikal laya hai ghar se KHayal ka kya ho
Siddiq Shahid