nindon ko jab KHwab mein juta jata tha
main bas apne nain bhigota jata tha
aanchal ka ek phul shararat karta tha
ek shahzada patthar hota jata tha
phul dua-e-nur sunate the aur main
us ki KHatir haar pirota jata tha
ishq mein hum ne jitne rang apnae the
wahshi dhobi sab ko dhota jata tha
pani bharne ek kuen par jati thi
us ka pani miTha hota jata tha
meri haalat itni abtar ho gai kya
kahte hain kal wo bhi rota jata tha
main 'mumtaz' gulabon jaisa hone ko
us ki KHushbu dil mein bota jata tha
Ghazal
Nindon ko jab KHwab mein juta jata tha
Mumtaz Gurmani