nindon ka ek aalam-e-asbab aur hai
shayad kisi ki aankh mein ek KHwab aur hai
tu mujh ko taq-e-sina mein rakkha hua na jaan
main jis mein jal raha hun wo mehrab aur hai
yunhi nahin ye zarbat-e-tesha ki dastaken
lagta hai ek fasil pas-e-bab aur hai
lahra raha hai sath pe mahtab-e-ghota-zan
har-chand ek shahr tah-e-ab aur hai
phuTi hain jis jagah meri aankhon ki konplen
dil se pare wo KHitta-e-shadab aur hai
khoya hua hun nind ke parde ke us taraf
lagta hai ek KHwab pas-e-KHwab aur hai
kirnen to ek nigah-e-subuk-rau ki lahr hain
dumbaala-dari-e-shab-e-mahtab aur hai
'tabish' ye tera aks nahin meri aankh mein
is jhil mein ye partaw-e-zartab aur hai
Ghazal
Nindon ka ek aalam-e-asbab aur hai
Abbas Tabish