اردو हिंदी
Nind ujDi to nigahon mein manazir kya hain | Shaahi Shayari
nind ujDi to nigahon mein manazir kya hain

Ghazal

Nind ujDi to nigahon mein manazir kya hain

Shehpar Rasool

;

nind ujDi to nigahon mein manazir kya hain
hum ki betab kisi KHwab ki KHatir kya hain

barg-e-masum se karte hain KHizan ki baaten
mausam-e-sabz ke lamhat bhi shatir kya hain

jaise ujDi hui basti mein ibaadat ka saman
sukhti shaKH pe baiThe hue tair kya hain

kyun ba-har-lamha bikharta hai yaqin ka paikar
tanz o tashkik ke asbab bil-aKHir kya hain

rah-e-pur-KHar pe ye chalte bagule ki tarah
roz-e-mahshar ke payami hain musafir kya hain

dardmandana sadaqat ke payambar 'shahpar'
dard ki baat samajhne se bhi qasir kya hain