nind se jagi hui aankhon ko andha kar diya
dhund ne shaffaf aainon ko dhundla kar diya
joDta rahta hun TuTe rabton ka fasla
mujh ko lamhon ke sarabon ne akela kar diya
chiKHta phirta hai saDkon par sadaon ka hujum
kis KHamoshi ne gali-kuchon ko bahra kar diya
har sada Takra ke behis KHamushi se gir paDi
har sada ne KHamushi ko aur gahra kar diya
hum ne phir shaffaf raston par bichai aankh aankh
hum ne phir aaina-e-dil reza reza kar diya
hum ne pahnae hain KHwahish ko ragon ke pairahan
us ne mangi bund hum ne KHun dariya kar diya
shahr ki betab galiyon ne ugal Dale hain log
kis ne mere shahr mein murdon ko zinda kar diya
jam gae diwar-o-dar par gunjte lafzon ke naqsh
ek hangame ne sara shahr gunga kar diya
aankh mein dhundla gaya nikhre hue chehron ka rang
jagmagate aainon ko kis ne maila kar diya
ek ek chehre pe 'sarmad' paD gai shak ki lakir
jaane kis bad-ruh ne logon pe saya kar diya
Ghazal
Nind se jagi hui aankhon ko andha kar diya
Sarmad Sahbai