اردو हिंदी
Nind se aankh wo mil kar jage | Shaahi Shayari
nind se aankh wo mil kar jage

Ghazal

Nind se aankh wo mil kar jage

Shaayar Lakhnavi

;

nind se aankh wo mil kar jage
kitne soe hue manzar jage

kis ki KHatir hai pareshan teri zulf
hum isi fikr mein shab bhar jage

zarb-e-tesha ki sada thi kaisi
aankh malte hue patthar jage

yun bhi guzre hain shab-o-roz ki hum
nind ki fikr mein akasr jage

tishnagi ne jo nichoDa daman
karwaTen le ke samundar jage

saikDon rang hain aankhon mein magar
zehn mein ek hi paikar jage

KHwab ka jashn manane ke liye
log sunte hain ki ghar ghar jage

hum ne kaghaz pe likha nam tera
harf o mani ke muqaddar jage

un ko bedar na kahiye 'shaer'
log jo KHwab ke andar jage