اردو हिंदी
Nind se aankh khuli hai abhi dekha kya hai | Shaahi Shayari
nind se aankh khuli hai abhi dekha kya hai

Ghazal

Nind se aankh khuli hai abhi dekha kya hai

Shahid Kabir

;

nind se aankh khuli hai abhi dekha kya hai
dekh lena abhi kuchh der mein duniya kya hai

bandh rakkha hai kisi soch ne ghar se hum ko
warna apna dar-o-diwar se rishta kya hai

ret ki inT ki patthar ki ho ya miTTi ki
kisi diwar ke sae ka bharosa kya hai

gher kar mujh ko bhi laTka diya maslub ke sath
main ne logon se ye puchha tha ki qissa kya hai

sang-rezo ke siwa kuchh tere daman mein nahin
kya samajh kar tu lapakta hai uThata kya hai

apni danist mein samjhe koi duniya 'shahid'
warna hathon mein lakiron ke alawa kya hai