nind maston ko kahan aur kidhar ka takiya
KHisht-e-KHum-KHana hai yan apne to sar ka takiya
laKHt-e-dil aa ke musafir se Thaharte hain yahan
chashm hai hum se gadaon ki guzar ka takiya
jis taraf aankh uTha dekhiye ho jae asar
hum to rakhte hain faqat apni nazar ka takiya
chain hargiz nahin maKHmal ke use takiye par
us pari ke liye ho hur ke par ka takiya
hath apne ke siwa aur to kya ho haihat
walih o dar-ba-dar o KHak-basar ka takiya
sar to chahe hai mera howe mayassar tere
hath ka bazu ka zanu ka kamar ka takiya
ye to hasil hai kahan bhej de lekin mujh ko
jis mein baalon ki ho bu tere ho sar ka takiya
tikhe-pan ke tere qurban akaD ke sadqe
kya hi baiTha hai laga kar ke sipar ka takiya
garche hum saKHt gunahgar hain lekin wallah
dil mein jo Dar hai hamein hai usi Dar ka takiya
girya o aah-o-fughan nala o ya rab fariyaad
sab ko hai har shab-o-roz apne asar ka takiya
rind o aazad hue chhoD ilaqa sab ka
DhunDhte kab hain pidar aur pisar ka takiya
gar bharosa hai hamein ab to bharosa tera
aur takiya hai agar tere hi dar ka takiya
shauq se soiye sar rakh ke mere zanu par
us ko mat samajhiye kuchh KHauf-o-KHatar ka takiya
jab talak aap na jagenge rahega yun hi
sarkega tab hi ki jab kahiyega sarka takiya
lutf-e-izadi hi se ummid hai insha-allah
kuchh nahin rakhte hain hum fazl o hunar ka takiya
Ghazal
Nind maston ko kahan aur kidhar ka takiya
Insha Allah Khan u0027Inshau0027