اردو हिंदी
Nind chubhne lagi hai aankhon mein | Shaahi Shayari
nind chubhne lagi hai aankhon mein

Ghazal

Nind chubhne lagi hai aankhon mein

Khaleel Mamoon

;

nind chubhne lagi hai aankhon mein
kab talak jagna hai raaton mein

tum agar yunhi baat karte rahe
bit jaega waqt baaton mein

ungliyan ho gain figar apni
chhup gaya hai gulab kanTon mein

shayad apna pata bhi mil jae
jhankta hun teri nigahon mein

sab hai tere sawal mein pinhan
kuchh nahin hai mere jawabon mein

jo nahin mil saka haqiqat mein
DhunDhta phir raha hun KHwabon mein

faisla to tumhin ko karna hai
dekhte kya ho tum gawahon mein

maslahat-kosh ho gaya 'mamun'
ghir ke tanqid karne walon mein