اردو हिंदी
Nind aati hai magar KHwab nahin aate hain | Shaahi Shayari
nind aati hai magar KHwab nahin aate hain

Ghazal

Nind aati hai magar KHwab nahin aate hain

Ramzi Asim

;

nind aati hai magar KHwab nahin aate hain
mujh se milne mere ahbab nahin aate hain

shahr ki bhiD se KHud ko to bacha lata hun
go salamat mere aasab nahin aate hain

tishnagi dasht ki dariya ko Dubo de na kahin
is liye dasht mein sailab nahin aate hain

Dubte waqt samundar mein mere hath lage
wo jawahir jo sar-e-ab nahin aate hain

ya unhen aati nahin bazm-e-suKHan-arai
ya hamein bazm ke aadab nahin aate hain

ham-nashin dekh mukafat-e-amal hai duniya
kaam kuchh bhi yahan asbab nahin aate hain