nind aankhon se uDi phul se KHushbu ki tarah
ji bahal jaega shab se tere gesu ki tarah
dosto jashn manao ki bahaar aai hai
phul girte hain har ek shaKH se aansu ki tarah
meri aashuftagi-e-shauq mein ek husn bhi hai
tere aariz pe machalte hue gesu ki tarah
ab tere hijr mein lazzat na tere wasl mein lutf
in dinon zist hai Thahre hue aansu ki tarah
zindagi ki yahi qimat hai ki arzan ho jao
naghma-e-dard liye mauja-e-KHushbu ki tarah
kis ko malum nahin kaun tha wo shaKHs 'alim'
jis ki KHatir rahe aawara hum aahu ki tarah
Ghazal
Nind aankhon se uDi phul se KHushbu ki tarah
Obaidullah Aleem