nind aankhon mein musalsal nahin hone deta
wo mera KHwab mukammal nahin hone deta
aankh ke shish-mahal se wo kisi bhi lamhe
apni taswir ko ojhal nahin hone deta
rabta bhi nahin rakhta hai sar-e-wasl koi
aur talluq bhi moattal nahin hone deta
wo jo ek shahr hai pani ke kinare aabaad
apne atraf mein daldal nahin hone deta
jab ki taqdir aTal hai to dua kya mani
zehn is falsafe ko hal nahin hone deta
dil to kahta hai use lauT ke aana hai yahin
ye dilasa mujhe pagal nahin hone deta
qarya-e-jaan pe kabhi TuT ke barsen 'ruhi'
zarf ashkon ko wo baadal nahin hone deta
Ghazal
Nind aankhon mein musalsal nahin hone deta
Rehana Roohi