nind aankhon mein jo aati to jagane lagte
KHwab bachchon ki tarah shor machane lagte
raat ko ghar nahin aata to mere ghar wale
subh ke waqt meri KHair manane lagte
tere aa jaane se phir aa gai zaKHmon pe bahaar
tu nahin aata to sab zaKHm purane lagte
wo hamein DhunDh ke ek raat mein ghar le aaya
hum use DhunDne jate to zamane lagte
qais jangal ko agar chhoD ke aa jata 'rais'
to mere shahr ke laDke bhi satane lagte
Ghazal
Nind aankhon mein jo aati to jagane lagte
Raees Ansari