nind aai hi nahin hum ko na puchho kab se
aankh lagti hi nahin dil hai lagaya jab se
un ko mahbub kahen ya ki raqib ab apna
un ko bhi pyar hua jae hai apni chhab se
ashk aankhon se meri nikle musalsal lekin
us ne ek harf-e-tasalli na nikala lab se
dil sikhata hai sab aadab mohabbat ke KHud
ye sabaq sikha nahin jata kisi maktab se
apni urdu to mohabbat ki zaban thi pyare
ab siyasat ne use joD diya mazhab se
main bhi to dekhun gharaz se jhuki aankhen un ki
kash aaen wo mere pas kabhi matlab se
bhiD hum jaison ki rahti hai hamesha yun to
raushni hoti hai mahfil mein bas ek kaukab se
meri aankhon ke liye raushni se hai baDh kar
teri zulfon ki siyahi jo hai gahri shab se
sikh nafrat ki na de ai 'sada' mazhab koi
hai usul apna kiye jao mohabbat sab se
Ghazal
Nind aai hi nahin hum ko na puchho kab se
Sada Ambalvi