اردو हिंदी
Nind aa jae to lamhat mein mar jate hain | Shaahi Shayari
nind aa jae to lamhat mein mar jate hain

Ghazal

Nind aa jae to lamhat mein mar jate hain

faiz jaunpuri

;

nind aa jae to lamhat mein mar jate hain
din se bach nikle badan raat mein mar jate hain

karte hain apni zaban se jo dilon ko zaKHmi
dab ke ek din wo isi baat mein mar jate hain

yaad aati hai teri jab bhi gulabi baaten
Dub kar tere KHayalat mein mar jata hun

jab kabhi jate hain ahbab ki shadi mein hum
jaanen kyun jate hi sadmat mein mar jate hain

laDne ki tab to miTTi ke makanon mein hai
kanch-ghar mausam-e-barsat mein mar jate hain

tab koi Dub ke pani mein fana hota hai
KHwab jab talKHi-e-haalat mein mar jate hain

jab hawa bagh se kahti hai KHizan aai hai
baghban phul liye hat mein mar jate hain