nind aa gai thi manzil-e-irfan se guzar ke
chaunke hain hum ab sarhad-e-isyan se guzar ke
aankhon mein liye jalwa-e-nairang-e-tamasha
aai hai KHizan jashn-e-bahaaran se guzar ke
yaadon ke jawan qafile aate hi rahenge
sarma ke isi barg-e-pur-afshan se guzar ke
kanTon ko bhi ab baad-e-saba chheD rahi hai
phulon ke hasin chaak gareban se guzar ke
wahshat ki nai rahguzar DhunDh rahe hain
hum ahl-e-junun dasht o bayaban se guzar ke
ban jaega tara kisi mayus KHala mein
ye ashk-e-sahar gosha-e-daman se guzar ke
aawargi-e-fikr kidhar le ke chali hai
sar-manzil-e-azadi-e-insan se guzar ke
pai hai nigahon ne teri bazm-e-tamanna
raaton ko chinaron ke charaghan se guzar ke
ek gardish-e-chashm-e-karam ek mauj-e-nazara
kal shab ko mili gardish-e-dauran se guzar ke
milne ko to mil jae magar lega bhala kaun
sahil ka sukun shorish-e-tufan se guzar ke
ek nishtar-e-gham aur sahi ai gham-e-manzil
aa dekh to ek roz rag-e-jaan se guzar ke
ab dard mein wo kaifiyat-e-dard nahin hai
aaya hun jo us bazm-e-gul-afshan se guzar ke
Ghazal
Nind aa gai thi manzil-e-irfan se guzar ke
Ali Jawwad Zaidi