nimcha yar ne jis waqt baghal mein mara
jo chaDha munh use maidan-e-ajal mein mara
mal jab us ne bahut radd-o-badal mein mara
hum ne dil apna uTha apni baghal mein mara
us lab o chashm se hai zindagi o maut apni
ki kabhi pal mein jalaya kabhi pal mein mara
khinch kar ishq-e-sitam-pesha ne shamshir-e-jafa
pahle ek hath mujhi par tha azal mein mara
charKH-e-bad-bin ki kabhi aankh na phuTi sau bar
tir nale ne mere chashm-e-zuhal mein mara
ajal aai na shab-e-hijr mein aur hum ko falak
be-ajal tu ne tamanna-e-ajal mein mara
ishq ke hath se ne qais na farhad bacha
is ko gar dasht mein to us ko jabal mein mara
dil ko us kakul-e-pechan se na bal karna tha
ye siyah-baKHt gaya apne hi bal mein mara
kaun fariyaad sune zulf mein dil ki tu ne
hai musalman ko kafir ke amal mein mara
urs ki shab bhi meri gor pe do phul na lae
patthar ek gumbad-e-turbat ke kanwal mein mara
aankh se aankh hai laDti mujhe Dar hai dil ka
kahin ye jae na is jang-o-jadal mein mara
hum ne jaana tha jabhi ishq ne mara us ko
tesha farhad ne jis waqt jabal mein mara
na hua par na hua 'mir' ka andaz nasib
'zauq' yaron ne bahut zor ghazal mein mara
Ghazal
Nimcha yar ne jis waqt baghal mein mara
Sheikh Ibrahim Zauq