nim ke us peD se utra hai jin
phir kisi ke KHun ka pyasa hai jin
ghar mein jitne log the wo kha gaya
main bacha hun par abhi bhuka hai jin
phunkta hun paDh ke sari aayaten
aur mujh ko dekh ke hansta hai jin
kudta hai raat bhar wo sahn mein
har jagah ghar mein mere phirta hai jin
raat Dain hai machan se jhulti
aur is ke sath hi laTka hai jin
ghar ki ek diwar mein suraKH tha
han isi suraKH se nikla hai jin
dekh lena ab nahin chhoDega wo
ab mere sine pe chaDh baiTha hai jin
Ghazal
Nim ke us peD se utra hai jin
Ali Imran