nim-jaan hun zindagi dud-e-charagh-e-kushta hai
meri hasti surat-e-bud-e-charagh-e-kushta hai
go hun muflis par hun apni tira-baKHti se nami
mere ghar mein daulat-e-sud-e-charagh-e-kushta hai
ho nahin sakta siyah-kari se main raushan-zamir
dil mera ek zarf masud-e-charagh-e-kushta hai
dekh kar parwanon ke par subh ko sabit hua
ye bahaar-e-gulshan jud-e-charagh-e-kushta hai
ai 'shagufta' mujh ko piri mein ye misra yaad hai
bud apni wahm-e-na-bud-e-charagh-e-kushta hai
Ghazal
Nim-jaan hun zindagi dud-e-charagh-e-kushta hai
Munshi Khairati Laal Shagufta