nichi nazron se na dekho sar-e-mahshar dekho
dad-KHwahon ki taraf aankh uTha kar dekho
ho ke shamshir-ba-kaf sair ghaDi bahr dekho
marne walon ki wafa tegh ke jauhar dekho
aah kaisi kabhi shikwa bhi tumhaara na kiya
aaise hum zabt-e-mohabbat ke hain KHugar dekho
wada-e-hashr hai parda bhi zamane bhar se
koi daman na pakaD le sar-e-mahshar dekho
un ko dushman se jo ulfat hai to parwa na karo
ai 'rasa' tum bhi kisi aur pe mar kar dekho

Ghazal
Nichi nazron se na dekho sar-e-mahshar dekho
Rasa Rampuri