nigah se chashm se naz-o-ada se
KHuda mahfuz rakkhe har bala se
kisi ki bewafai se mujhe kya
main apne kaam rakhta hun wafa se
bahut mangin duaen hath uTha kar
na nikla kaam kuchh aaKHir dua se
mujhe Dar hai kahin ruswa na ho tu
jo main ruswa hua teri bala se
'hasan' deta hai tu kyun ji buton par
mila denge tujhe kya ye KHuda se
Ghazal
Nigah se chashm se naz-o-ada se
Meer Hasan