nigah ka war tha dil par phaDakne jaan lagi
chali thi barchhi kisi par kisi ke aan lagi
tera zaban se milana zaban jo yaad aaya
na hae hae mein talu se phir zaban lagi
kisi ke dil ka suno haal dil laga kar tum
jo howe dil ko tumhaare bhi mehrban lagi
to wo hai mah-jabin misl-e-dida-e-anjum
rahe hai teri taraf chashm-e-yak-jahan lagi
KHuda kare kahe tujh se ye kuchh KHuda-lagti
ki zulf ai but-e-bad-kesh tere kan lagi
uDai hirs ne aa kar jahan mein sab ki KHak
nahin hai kis ko hawa zer-e-asman lagi
kisi ki kawish-e-mizhgan se aaj sari raat
nahin palak se palak meri ek aan lagi
tabah bahr-e-jahan mein thi apni kashti-e-umr
so TuT-phuT ke bare kinare aan lagi
tumhaare hath se sine mein dil se ta-ba-jigar
sinan o KHanjar o paikan ki hai dukan lagi
KHadang-e-yar mere dil se kis tarah nikle
ki us ke sath hai ai 'zauq' meri jaan lagi

Ghazal
Nigah ka war tha dil par phaDakne jaan lagi
Sheikh Ibrahim Zauq