nigar-e-mah-wash o mahbub-e-lala-ru ki tarah
koi to raat mere KHwab-e-arzu ki tarah
charagh-e-sham-e-tamanna ka rang kya kahiye
laraz raha hai kisi harf-e-arzu ki tarah
shaguft-e-gul ka tabassum bhi harf-e-dilkash hai
magar kahan tere andaz-e-guftugu ki tarah
bahal hi jaega dil nind aa hi jaegi
hawa to de koi daman-e-mushk-bu ki tarah
KHulus-e-ishq hirasan hai ahl-e-duniya se
kisi gharib ke ehsas-e-abru ki tarah
hamare fan ka har ek naqsh be-sila ab tak
KHamosh hai kisi masum ke lahu ki tarah
KHizan ka maqtal-e-hasrat bhi didani hai 'shamim'
paDe hain phul shahidan-e-surKH-ru ki tarah

Ghazal
Nigar-e-mah-wash o mahbub-e-lala-ru ki tarah
Shamim Karhani