اردو हिंदी
Nigar-e-fan pe harifan-e-sher ki yalghaar | Shaahi Shayari
nigar-e-fan pe harifan-e-sher ki yalghaar

Ghazal

Nigar-e-fan pe harifan-e-sher ki yalghaar

Mohsin Ehsan

;

nigar-e-fan pe harifan-e-sher ki yalghaar
niyam-e-harf kahan hai KHayal ki talwar

rahin-e-marg-e-tamanna thi kaamrani-e-wasl
jhulas gaya hai mujhe qurb-e-shoala-e-ruKHsar

hawa kuchh aisi chali dasht-e-na-muradi se
ujaD ke bas na sake phir kabhi dilon ke dayar

kaDakti dhup mein ab aur kis jagah baiThun
simaT ke ban gaya diwar saya-e-diwar

jala gai hai meri aag pairahan mera
main kya gila karun tujh se charagh-e-mahfil-e-yar

zara rasai-e-manzil-gah-e-murad to dekh
chale the shahr-e-wafa se pahunch gae sar-e-dar

ye kis ne sard gulistan ka zikr chheDa hai
nikhar chala hai nigahon mein paikar-e-qad-e-yar

ye kis jazira-e-be-rang-o-bu mein baste hain
na tairan-e-ajam hain na aahuwan-e-tatar

ye kaun guzra hai 'mohsin' KHaraba-e-dil se
ki uD raha hai har ek samt hasraton ka ghubar