nigahon se nigahen samne hote hi jab laDiyan
yakayak khul gain donon taraf se dil ki kuljhaDiyan
ye ab ki shab-baraat ai yar tujh bin hum pe yun guzri
hawai to hamari aah thi aur ashk phul-jhaDiyan
hamari aah jaise laKHt-e-dil se guth ke nikle hai
kahin dekhi hain tin is lutf se phulon ki bhi chhaDiyan
mua majnun to ek muddat hui par ab tak is gham mein
karen hain nala mil kar ham-digar zanjir ki kaDiyan
zamin se ye lago nahin gul bhala kis tarah nikle hain
jo lakhon suraten dilkash nahin is KHak mein gaDiyan
kabhu TuTa na mizhgan se meri aansu ka zanjira
na jaane ashk ke qatre the ya moti ki ye laDiyan
bhare aate hain 'qaem' pai-ba-pai is tarah aansu se
kahe tu chashm ko meri ki hain ye rahT ki ghaDiyan
Ghazal
Nigahon se nigahen samne hote hi jab laDiyan
Qayem Chandpuri

