اردو हिंदी
Nigahon mein ye kya farma gai ho | Shaahi Shayari
nigahon mein ye kya farma gai ho

Ghazal

Nigahon mein ye kya farma gai ho

Zia Jalandhari

;

nigahon mein ye kya farma gai ho
meri sanson ke tar uljha gai ho

dar-o-diwar mein hai ajnabiyat
main KHud bhi kho gaya tum kya gai ho

pareshan ho gae tabir se KHwab
ki jaise kuchh badal kar aa gai ho

tamanna intizar-e-dost ke baad
kali jaise koi murjha gai ho

ye aansu ye pashemani ka izhaar
mujhe ek bar phir bahka gai ho

'ziya' wo zindagi kya zindagi hai
jise KHud maut bhi Thukra gai ho