nigahen nichi rakhte hain bulandi ke nishan wale
uTha kar sar nahin chalte zamin par aasman wale
taqayyud habs ka aazadiyan dil ki nahin khota
qafas ko bhi bana lete hain gulshan aashiyan wale
nahin hai rahbari-e-manzil-e-irfan-e-dil aasan
bhaTak jate hain akasr raste se karwan wale
zamin ki inkisari bhi baDa eajaz rakhti hai
jabin-sa ho gae KHushki pe bahr-e-be-karan wale
kisi din garm bazar-e-aqidat ho to jaane do
lagaenge mere sajdon ki qimat aasman wale
ajal kahte hain jis ko nam hai kamzor hi dil ka
use KHatir mein kyun laen hayat-e-jawidan wale
hamein 'turfa' ki lai se kyun na ho irfan-e-dil hasil
subuk naghme sunate hi nahin saz-e-garan wale
Ghazal
Nigahen nichi rakhte hain bulandi ke nishan wale
Turfa Qureshi