اردو हिंदी
Nigahen dar pe lagi hain udas baiThe hain | Shaahi Shayari
nigahen dar pe lagi hain udas baiThe hain

Ghazal

Nigahen dar pe lagi hain udas baiThe hain

Sufi Tabassum

;

nigahen dar pe lagi hain udas baiThe hain
kisi ke aane ki hum le ke aas baiThe hain

nazar uTha ke koi hum ko dekhta bhi nahin
agarche bazm mein sab ru-shanas baiThe hain

ilahi kya meri ruKHsat ka waqt aa pahuncha
ye chaarasaz mere kyun udas baiThe hain

ilahi kyun tan-e-murda mein jaan nahin aati
wo be-naqab hain turbat ke pas baiThe hain