nigah tez shuur-e-buland rakhte hain
hum apna ishq bahut hosh-mand rakhte hain
hum apne sath dil-e-dard-mand rakhte hain
koi ho bazm use sar-buland rakhte hain
hamein gharaz nahin munim hai kaun hatim kaun
kulah-e-qais sar-e-arjumand rakhte hain
rafiqon tum hi nahin pasban-e-shart-e-wafa
ki hum bhi un se iradat do-chand rakhte hain

Ghazal
Nigah tez shuur-e-buland rakhte hain
Arshi Bhopali