nigah o dil ke tamam rishte faza-e-alam se kaT gae hain
judaiyon ke azab mausam bisat-e-hasti ulaT gae hain
wo jis ki yaadon se shaeri ka har ek misra sajaya hum ne
kitab-e-jaan ke tamam safhe usi ke hathon se phaT gae hain
yahan pe kuchh bhi nahin hai baqi tu aks apna talash mat kar
meri nigahon ke aaine ab ghubar-e-furqat se aT gae hain
yahi asasa the zindagi ka ye KHwab hi the mera sahaara
tere taghaful ke sang-rezo se kirchiyon mein jo baT gae hain
ye moajaza to nahin hai koi KHiraj hai apni himmaton ka
ki apne raste mein aane wale tamam kohsar hiT gae hain
KHush aa gaya hai safar mein jina isi liye to shakil-'jazib'
jahan se manzil qarib dekhi wahin se wapas palaT gae hain
Ghazal
Nigah o dil ke tamam rishte faza-e-alam se kaT gae hain
Shakeel Jazib