nigah o dil ke pas ho wo mera aashna rahe
hawas hai ya ki ishq hai ye kaun sochta rahe
wo mera jab na ho saka to phir yahi saza rahe
kisi ko pyar jab karun wo chhup ke dekhta rahe
use mana to lun magar ye silsila bhi kya rahe
alag hai us ka zaiqa ki wo khincha khincha rahe
masham-e-jaan pe KHushbuon ki jab phuwar hi na ho
hazar baat baat mein wo phul Tankta rahe
shaguftan-e-jamal ko hijab-e-lams chahiye
fasil-e-shab ki oT mein charagh ye jala rahe
na itni dur jaiye ki log puchhne lagen
kisi ko dil ki kya KHabar ye hath to mila rahe
Ghazal
Nigah o dil ke pas ho wo mera aashna rahe
Mazhar Imam

