nigah o dil bhi qadam ki tarah mila ke chale
kis ittihad se rahi rah-e-wafa ke chale
wahan se ro ke uThe aur muskura ke chale
bala ka gham tha hamin the ki gham chhupa ke chale
fasurda-dil the magar bazm ko hansa ke chale
kali na tum se khili hum chaman KHala ke chale
lipaT na jae kahin rah pa-e-nazuk se
ye aap hath se daman kahan chhuDa ke chale
tumhin ne dil ke andhere ko di ziya-e-umid
tumhin gharib ke ghar ka diya bujha ke chale
kisi ko dekhte dekha udas ho gae tum
nazar hai koi kahan tak bacha bacha ke chale
'nazir' hun wo sharabi ba-faiz-e-pir-e-mughan
nigah Dal dun jis par wo laDkhaDa ke chale
Ghazal
Nigah o dil bhi qadam ki tarah mila ke chale
Nazeer Banarasi