nigah mujh se milane ki un mein tab nahin
mere sawal ka shayad koi jawab nahin
bahut dinon se koi dil mein iztirab nahin
samaya aankhon mein ab aur koi KHwab nahin
meri ana to abhi sar-buland hai mujh mein
mujhe shikast bhi de kar wo kaamyab nahin
KHuda ka shukr hai sharm-o-haya salamat hai
wo aaina hai magar main bhi be-hijab nahin
bahaar aane ko aai saman nahin badla
khile hai KHar har ek shaKH par gulab nahin
yahan dimagh nahin dil ki hoti hai talim
huzur-e-ishq ke maktab ka kuchh nisab nahin
hijab mein hai har ek raaz meri hasti ka
zamana shauq se paDh le ye wo kitab nahin
koi batae ki sambhlen to kis tarah sambhlen
mili hain Thokaren itni ki kuchh hisab nahin
han mere fan se munawwar hai ek jahan lekin
main ek zarra-e-KHaki hun aaftab nahin
'siya' sukun se baqi hai jo guzar jae
ab aur ranj sahun itni mujh mein tab nahin
Ghazal
Nigah mujhse milane ki un mein tab nahin
Siya sachdev

