اردو हिंदी
Nigah koi to tufan mein mehrban si hai | Shaahi Shayari
nigah koi to tufan mein mehrban si hai

Ghazal

Nigah koi to tufan mein mehrban si hai

Atul Ajnabi

;

nigah koi to tufan mein mehrban si hai
har ek mauj samundar ki paedan si hai

har ek shaKHs ko gahak samajh ke KHush rakhna
ye zindagi bhi hamari koi dukan si hai

main aasman ki tarah muddaton se Thahra hun
badan mein phir bhi zamin jaisi kuchh thakan si hai

dukhon ka kya hai ye aate hain tir ki manind
KHushi hamesha mere waste kaman si hai

qadam sambhaal ke rakhna hasin rahon par
phisal gae to phir aage baDi Dhalan si hai

zaban munh mein hamare thi jab ghulam the hum
hamare munh mein magar ab to bas zaban si hai

ab aae din hi nikalta hai aansuon ka julus
hamari aankh musalsal lahuluhan si hai