اردو हिंदी
Nigah-e-yar humse aaj be-taqsir phirti hai | Shaahi Shayari
nigah-e-yar humse aaj be-taqsir phirti hai

Ghazal

Nigah-e-yar humse aaj be-taqsir phirti hai

Munawar Khan Ghafil

;

nigah-e-yar hum se aaj be-taqsir phirti hai
kisi ki kuchh nahin chalti hai jab taqdir phirti hai

muraqqa hai meri aankhon mein kya yaran-e-rafta ka
jo nazron ke tale har ek ki taswir phirti hai

tera diwana jab se uTh gaya sahra-e-wahshat se
bagule ki tarah se DhunDhti zanjir phirti hai

teri talwar ka munh hum se phir jae to phir jae
hamari aankh kab qatil tah-e-shamshir phirti hai

kabhi to khinch laegi use gor-e-ghariban par
ki muddat se hamari KHak daman-gir phirti hai

bayan kis munh se hoe yar ki shirin-kalami ka
zaban par apni ab tak lazzat-e-taqrir phirti hai

maqam-e-ishq mein shah-o-gada ka ek rutba hai
zuleKHa har gali-kuche mein be-tauqir phirti hai

firaqe-e-gul mein itna tu abas nalan o muztar hai
bahaar-e-rafta phir ai bulbul-e-dil-gir phirti hai

dar-e-bab-e-asar tak ek din jate nahin dekha
KHuda jaane kahan ye aah-e-be-tasir phirti hai

KHuda shahid hai is ka phir nahin milti nahin milti
tabiat apni jis se o but-e-be-pir phirti hai

hum us laila ko diwane hain ai 'ghafil' jo sahra mein
baghal mein apne majnun ki liye taswir phirti hai