nigah-e-shoKH jab us se laDi hai
to bijli tharthara kar gir paDi hai
use bhi mujh ko bhi zid aa paDi hai
KHarabi bich walon ki baDi hai
qayamat mein qayamat kar gaya kaun
ki dil thame saf-e-mehshar khaDi hai
karen kya rind tauba mai se zahid
ki ye to un ki ghuTTi mein paDi hai
qadam jamta nahin teri gali mein
kisi betab ki mayyat gaDi hai
adu bhi tang hai un ke sitam se
use apni mujhe apni paDi hai
abhi main ne kiya tha yaad us ko
wo aaya umr qasid ki baDi hai
bana hai muddai paigham-bar bhi
jaDi hai jab meri khuTi jaDi hai
kiya hai main ne zabt-e-ah jis dam
ani barchhi ki sine mein gaDi hai
gul-e-bistar sitare ban gae hain
tere mathe se jab afshan jhaDi hai
ye kahta hai mera shauq-e-shahadat
teri talwar phulon ki chhaDi hai
wo ruThen ghair se to hum manaen
parai aafat apne sar paDi hai
tujhe deta hun apni jaan bhi main
mere dil se meri himmat baDi hai
Talen wo kab jo dil lene pe aD jaen
ye kya kuchh khel chausar ki aDi hai
ilahi kab sahar hogi shab-e-hijr
qayamat ki ghaDi hai jo ghaDi hai
bigaD kar hum ne sau ilzam pae
ab un ki har tarah se ban paDi hai
ghazal ek aur bhi ai 'dagh' likkho
tabiat is zamin mein kuchh laDi hai
Ghazal
Nigah-e-shoKH jab us se laDi hai
Dagh Dehlvi