nigah-e-shauq se kab tak muqabla karte
wo iltifat na karte to aur kya karte
ye rasm-e-tark-e-mohabbat bhi hum ada karte
tere baghair magar zindagi ko kya karte
ghurur-e-husn ko manus-e-iltija karte
wo hum nahin ki jo KHud-dariyan fana karte
kisi ki yaad ne taDpa diya phir aa ke hamein
hui thi der na kuchh dil se mashwara karte
ye puchho husn ko ilzam dene walon se
jo wo sitam bhi na karta to aap kya karte
sitam-shiar azal se hai husn ki fitrat
jo main wafa bhi na karta to wo jafa karte
hamein to apni tabahi ki dad bhi na mili
teri nawazish-e-beja ka kya gila karte
nigah-e-naz ki masumiyat are tauba
jo hum fareb na khate to aur kya karte
nigah-e-lutf ki taskin ka shukriya lekin
mata-e-dard ko kis dil se hum juda karte
Ghazal
Nigah-e-shauq se kab tak muqabla karte
Arshi Bhopali