اردو हिंदी
Nigah-e-shauq kyun mail nahin hai | Shaahi Shayari
nigah-e-shauq kyun mail nahin hai

Ghazal

Nigah-e-shauq kyun mail nahin hai

Hamidi Kashmiri

;

nigah-e-shauq kyun mail nahin hai
koi diwar ab hail nahin hai

sahar-dam hi gharon se chal paDe sab
koi jada koi manzil nahin hai

sabhi ki nazren hain kashti ke ruKH par
magar is bahr ka sahil nahin hai

karen kis se tawaqqo munsifi ki
koi aisa hai jo qatil nahin hai