nigah-e-shauq ko ruKH par nisar hone do
ye rang laegi kya kya bahaar hone do
rahin-e-jazba-e-be-iKHtiyar hone do
jo ho raha hai koi be-qarar hone do
dil-e-hazin ko mere jalwa-zar hone do
KHizan-nasib chaman mein bahaar hone do
dil-e-firaq-zada mein qarar hone do
dam-e-ajal to nigahon ko chaar hone do
karishme dekhna mar mar ke jine walon ke
tum apne kuche mein mera mazar hone do
tum apne wadon ki ifa karo umid nahin
jahan mein husn ko be-e'tibar hone do
shab-e-firaq mein lo chal basa tumhaara 'taj'
qayam-e-hashr tak ab intizar hone do
Ghazal
Nigah-e-shauq ko ruKH par nisar hone do
Zahiir Ahmad Taaj