nigah-e-naz ne parde uThae hain kya kya
hijab ahl-e-mohabbat ko aae hain kya kya
jahan mein thi bas ek afwah tere jalwon ki
charagh-e-dair-o-haram jhilmilae hain kya kya
do-chaar barq-e-tajalli se rahne walon ne
fareb narm-nigahi ke khae hain kya kya
dilon pe karte hue aaj aati jati choT
teri nigah ne pahlu bachae hain kya kya
nisar nargis-e-mai-gun ki aaj paimane
labon tak aae hue thartharae hain kya kya
wo ek zara si jhalak barq-e-kam-nigahi ki
jigar ke zaKHm-e-nihan muskurae hain kya kya
charagh-e-tur jale aaina-dar-aina
hijab barq-e-ada ne uThae hain kya kya
ba-qadr-e-zauq-e-nazar did-e-husn kya ho magar
nigah-e-shauq mein jalwe samae hain kya kya
kahin charagh kahin gul kahin dil-e-barbaad
KHiram-e-naz ne fitne uThae hain kya kya
taghaful aur baDha us ghazal-e-rana ka
fusun-e-gham ne bhi jadu jagae hain kya kya
hazar fitna-e-bedar KHwab-e-rangin mein
chaman mein ghuncha-e-gul-rang lae hain kya kya
tere KHulus-e-nihan ka to aah kya kahna
suluk uchaTTe bhi dil mein samae hain kya kya
nazar bacha ke tere ishwa-ha-e-pinhan ne
dilon mein dard-e-mohabbat uThae hain kya kya
payam-e-husn payam-e-junun payam-e-fana
teri nigah ne fasane sunae hain kya kya
tamam husn ke jalwe tamam mahrumi
bharam nigah ne apne ganwae hain kya kya
'firaq' rah-e-wafa mein subuk-rawi teri
baDe-baDon ke qadam Dagmagae hain kya kya
Ghazal
Nigah-e-naz ne parde uThae hain kya kya
Firaq Gorakhpuri