nigah-e-lutf kya kam ho gai hai
mohabbat aur mohkam ho gai hai
tabiat kushta-e-gham ho gai hai
charagh-e-bazm-e-matam ho gai hai
maal-e-zabt-e-paiham ho gai hai
masarrat hasil-e-gham ho gai hai
tamanna jab baDhi hai apni had se
to mayusi ka aalam ho gai hai
na jaane kyun adawat hi adawat hai
sirisht-e-ibn-e-adam ho gai hai
hai mahw-e-raqs har barg-e-chaman par
baDi bebak shabnam ho gai hai
hansi honTon par aate aate 'aKHtar'
payam-e-girya-e-gham ho gai hai
Ghazal
Nigah-e-lutf kya kam ho gai hai
Aleem Akhtar