nigah-e-KHak! zara pairahan badalna to
wabaal-e-ruh mera ye badan badalna to
haqiqaton ke safar mein bahut akeli hun
majaz-e-ishq! zara bankpan badalna to
junun ke bojh se thakne laga zaman o KHala
gharib-e-shauq zara phir watan badalna to
naya mile to koi zaiqa tamanna ko
dil-e-tabah meri ye jalan badalna to
sulag rahi hun abhi bhi magar maza hi nahin
sarab-e-naz ghamon ki agan badalna to
Ghazal
Nigah-e-KHak! zara pairahan badalna to
Sarwat Zehra