nigah-e-husn ki tasir ban gaya shayad
KHayal-e-zehn mein zanjir ban gaya shayad
wo ek nam jo tum ne miTa diya hai abhi
jabin-e-waqt pe tahrir ban gaya shayad
meri nigah mein na-mo'tabar tha jis ka wajud
wo fasla meri taqdir ban gaya shayad
KHud apna chehra bhi ab to nazar nahin aata
har aaina teri taswir ban gaya shayad
rah-e-KHulus mein fitrat thi jis ki mustahkam
wo sang-e-mil bhi rahgir ban gaya shayad
Ghazal
Nigah-e-husn ki tasir ban gaya shayad
Fitrat Ansari