اردو हिंदी
Nigah-e-husn-e-mujassam ada ko chhute hi | Shaahi Shayari
nigah-e-husn-e-mujassam ada ko chhute hi

Ghazal

Nigah-e-husn-e-mujassam ada ko chhute hi

Zafar Moradabadi

;

nigah-e-husn-e-mujassam ada ko chhute hi
ganwae hosh bhi us dilruba ko chhute hi

tamam phul mahakne lage hain khil khil kar
chaman mein shoKHi-e-baad-e-saba ko chhute hi

masham-e-jaan mein ajab hai surur ka aalam
tasawwuraat mein zulf-e-dota ko chhute hi

nigah-e-shauq ki sab ungliyan sulag uTThin
gulab jism ki rangin qaba ko chhute hi

nazar ko hech nazar aae sab hasin manzar
bas ek shua-e-ruKH-e-jaan-faza ko chhute hi

jo aansuon se hui ba-wazu akele mein
dar-e-qubul khula us dua ko chhute hi

nahain shiddat-e-ehsas ke ujale mein
samaaten mere soz-e-nawa ko chhute hi

hisar-e-zabt jo TuTa to aankh bhar aai
dayar-e-ghair mein ek aashna ko chhute hi

lahu mein Dub ke kanTe bane charagh 'zafar'
rah-e-wafa mein hum aashufta-pa ko chhute hi