اردو हिंदी
Nigah-e-fitrat mein dar-haqiqat wo zindagi zindagi nahin hai | Shaahi Shayari
nigah-e-fitrat mein dar-haqiqat wo zindagi zindagi nahin hai

Ghazal

Nigah-e-fitrat mein dar-haqiqat wo zindagi zindagi nahin hai

Muhammad Ayyub Zauqi

;

nigah-e-fitrat mein dar-haqiqat wo zindagi zindagi nahin hai
jo dusron ke na kaam aae wo aadmi aadmi nahin hai

kisi ke jalwon ka aks-e-rangin kabhi hai dil mein kabhi nahin hai
main kis tarah man lun ki zauq-e-yaqin ki tujh mein kami nahin hai

phir aur kya hai agar zawal-e-KHudi-o-KHud-agahi nahin hai
dil-o-nazar ko ye kya hua hai kahin bhi aasudgi nahin hai

zaban pe rindan-e-kam-nazar ki shikayat-e-saqi-e-azal hai
talab siwa ho jo zarf dil se hawas hai wo tishnagi nahin hai

jo qalb ko zindagi na baKHshe nazar ko kaif-o-KHudi na baKHshe
wo zauq-e-sajda hai nang-e-sajda ibaadat-o-bandagi nahin hai

haqiqaton se gurez insan ka ek ehsas-e-kamtari hai
hayat baKHshe jo zulmaton ko wo raushni raushni nahin hai

mera tasawwur hai kaenati shuur mera jamaliyati
mere KHayal-o-nazar mein 'zauqi' koi bashar ajnabi nahin hai