اردو हिंदी
Nigah-e-bad-guman hai aur main hun | Shaahi Shayari
nigah-e-bad-guman hai aur main hun

Ghazal

Nigah-e-bad-guman hai aur main hun

Yaqoob Usmani

;

nigah-e-bad-guman hai aur main hun
fareb-e-ashiyan hai aur main hun

sharik-e-be-kasi aae kahan se
zamin par aasman hai aur main hun

udhar kya ghurti hai kasmapursi
mera azm-e-jawan hai aur main hun

sarapa-gosh hai subh-e-shab-e-tar
kisi ki dastan hai aur main hun

ghuTa jata hai dam ai soz-e-ehsas
tah-e-daman dhuan hai aur main hun

hawadis ab jise chahen sarahen
nasib-e-dushmanan hai aur main hun

qafas naghmon se gunj uThta hai 'yaqub'
umid-e-KHush-bayan hai aur main hun