اردو हिंदी
Nigah aaina hai aks-e-mustaar hun main | Shaahi Shayari
nigah aaina hai aks-e-mustaar hun main

Ghazal

Nigah aaina hai aks-e-mustaar hun main

Ishrat Qadri

;

nigah aaina hai aks-e-mustaar hun main
hayat qarz hai mujh par to zer-e-bar hun main

pighal na jae ana shiddat-e-tamazat se
giran hai tab-e-KHaridar kam-ayar hun main

sawad-e-shab mein ek aawaz par hun garm-e-safar
asir-e-zulf na aawara-e-bahaar hun main

hinai hathon se chehra chhupa raha hai wo
shikast-e-ahd pe bhi tahniyat-guzar hun main

jo pau phaTe to nawed-e-sahar mile 'ishrat'
hazar raaton se sar-ta-pa intizar hun main