اردو हिंदी
Nibah baat ka us hila-gar se kuchh na hua | Shaahi Shayari
nibah baat ka us hila-gar se kuchh na hua

Ghazal

Nibah baat ka us hila-gar se kuchh na hua

Bahadur Shah Zafar

;

nibah baat ka us hila-gar se kuchh na hua
idhar se kya na hua par udhar se kuchh na hua

jawab-e-saf to lata agar na lata KHat
likha nasib ka jo nama-bar se kuchh na hua

hamesha fitne hi barpa kiye mere sar par
hua ye aur to us fitnagar se kuchh na hua

bala se girya-e-shab tu hi kuchh asar karta
agarche ishq mein aah-e-sahar se kuchh na hua

jala jala ke kiya shama san tamam mujhe
bas aur to mujhe soz-e-jigar se kuchh na hua

rahin adu se wahi garm-joshiyan us ki
is aah-e-sard aur is chashm-e-tar se kuchh na hua

uThaya ishq mein kya kya na dard-e-sar main ne
husul par mujhe us dard-e-sar se kuchh na hua

shab-e-visal mein bhi meri jaan ko aaram
azizo dard-e-judai ke Dar se kuchh na hua

na dunga dil use main ye hamesha kahta tha
wo aaj le hi gaya aur 'zafar' se kuchh na hua