neki badi ki ab koi mizan hi nahin
iman ki baat ye hai ki iman hi nahin
is daur-e-be-zamir pe kya tabsira karun
lagta hai mere ahd mein insan hi nahin
kaise rafu karun main kahan se rafu karun
dil bhi hai mera chaak gareban hi nahin
rudad-e-dil bhi hai ye gham-e-kaenat bhi
meri ghazal nashat ka saman hi nahin
barakat hamare rizq mein aaegi kis tarah
ghar mein hamare jab koi mehman hi nahin
lo wo azan se subh ki tasdiq ho gai
goya ab us ke aane ka imkan hi nahin
Ghazal
Neki badi ki ab koi mizan hi nahin
Ashok Sawhny